How To Add Beneficiary In BoB Net Banking
Hai Friends In This Article I Will Tell You About How To Add Beneficiary In BoB Net Banking. [In Hindi]
Namaskar Dosto, Jaise Ki Aap Jante Honge Ki Meine Apne Pichle Article Me Bataya Tha Ki,
Bob Net Banking Ke Liye Online Register Kaise Kare Aur Fir Bank Of Baroda Net Banking Me First Time Login Kaise Kare,
Tho Chaliye Jante Hai Ki Beneficiary Account Ko Kaise Add Kare BoB Net Banking Me | How To Add Beneficiary In BoB Net Banking.
India Ki Top Banks Ki List Me Bank Of Baroda Ka Bhi Naam Aata Hai, Aur Bank Of Baroda Bhi Bahut Saari Online Facilities Deti Hai,
Agar Aapne BoB Net Banking Facility Liya Hai Tho Aap Apne Ghar Baithe Bhi Bahut Saare Kaam Kar Sakte Hai,
Jaise Ki Online Money Transfer, Account Statement, New Cheque Book Request, Etc..,
Aur Agar Aapko Money Transfer Karna Hai Tho Pehle Aapko Beneficiary Account Ko Add Karna Padega,
Uske Baad Hi Aap Online Money Transfer Kar Sakenge,
Aapko Sirf Ek Baar Hi Beneficiary Account Ko Add Karna Hai Apne Online Banking Me,
Uske Baad Aap Kabhi Bhi Us Account Me Online Paise Bhej Sakte Hai,
Tho Chaliye Jante Hai Step By Step Ki Beneficiary Account Ko BoB Net Banking Me Kaise Add Karte Hai,
Sabse Pehle Aap Bob Net Banking Ki Official Website Open Karke Usme Retail User Par Click Kare,
Uske Baad Alag Se Window Open Hoga Usme User ID Type Karke Enter Par Click Kare,
Fir Aapka Registered Mobile Number Enter Karke Submit Par Click Kare,
Submit Par Click Karne Ke Baad Aapke Mobile Par One Time Password (OTP) Aayega,
Usko Type Karke Wapas Submit Button Par Click Kare,
Uske Baad Aapka SignOn Password / Login Password Type Karke Login Par Click Kare,
Agar Aap Chahe Tho Isme Virtual Keyboard Ka Bhi Use Kar Sakte Ho,
Successfully Login Hone Ke Baad Aapke Account Ka Main Dashboard Open Ho Jayega,
Jisme Se Aapko Top Menu Me Funds Transfer Par Click Karna Hai,
Funds Transfer Open Hone Ke Baad Aapko Bahut Saare Options Display Honge,
Pehle Aap Ye Jaan Lijiye Ki Aapko Kaunsa Beneficiary Account Add Karna Hai,
Self / Linked BoB Account Transfer:- Agar Aapke Khud Ka Koi Dusra Accounts Hai BoB Me Tho Is Option Ko Select Kare,
Third Party Transfer:- Agar Aapke Beneficiary Ka Account Bank of Baroda Me Hai, Same Branch Ya Other Branch, Tho Is Option Ko Select Kare,
IMPS (Instant Fund Transfer):- Agar Aapko IMPS Karna Hai Aur Aapke Beneficiary Account Kisi Dusre Bank Me Hai, Tho Is Option Ko Select Kare,
Non-BoB Accounts Transfer (NEFT/RTGS):- Agar Aapko NEFT Ya RTGS Karna Hai Aur Aapke Beneficiary Account Kisi Dusre Bank Me Hai, Tho Is Option Ko Select Kare,
Dosto IMPS/NEFT/RTGS Ye Theeno Options Kisi Bhi Dusre Bank Me Money Transfer Karne Ke Liye Use Hota Hai, Bas Iska System Alag Hai Aur Iske Limits Alag Hai,
Agar Aapko IMPS Ya NEFT Ya RTGS Ke Baare Me Detail Me Jaan na Hai Tho Niche Comment Me Likhiye, Me Iske Baare Me Alag Se Post Likhunga,
For Example, Me Non-BoB Accounts Transfer (NEFT/RTGS) Select Kar Raha Hu,
In Options Me Se Kisi Ko Bhi Select Karne Ke Baad Alag Se Ek Page Open Hoga,
Jisme Aapko Register New Beneficiary Ka Link Hoga Uspar Click Kare,
Uske Baad Ek Form Open Hoga Usko Dhyan Se Fill Karna Hai Jaise Ki Beneficiary Account Name, NEFT/RTGS IFSC Code, Account Type And Account Number,
IFSC Code Type Karne Ke Baad Get Details Par Click Kare, Uske Baad Us Bank Ke Saari Details Display Ho Jayengi,
Is Details Ko Bhi Ek Baar Check Kar Lijiye,
Ye Saari Details Enter Karne Ke Baad Continue Par Click Kare,
Uske Baad Confirmation Show Hoga Jisme Aapke Beneficiary Details Honge,
Beneficiary Details Check Karne Ke Baad Send For Confirmation Ka Button Par Click Kare,
Uske Baad Aapke Registered Mobile Number Par Tracker ID Ka SMS Aayega,
Fir Click Beneficiary Name For Registration Confirmation Ke Niche Aapka Beneficiary Name Display Hoga Jo Aapne Abhi Add Kiya Tha,
Aapko Us Beneficiary Name Par Click Karna Hai, Click Karne Ke Baad Aapko Tracker ID Puchega Jo Aapke Mobile Number Par Aaya Tha,
Tracker ID Ko Enter Karne Ke Baad Submit Par Click Kare, Fir Beneficiary Details Display Honge Wo Sab Check Karke Confirm Beneficiary Par Click Kar Dijiye,
Uske Baad Aapka Beneficiary Account Confirm Ho Jayega, Aur Yaad Rakhe Ki Aap 4 Ghante Ke Baad Hi Money Transfer Kar Sakenge,
Aur Dhyan Dijiye Dosto Ki At Present Aap Sirf 2 Accounts Hi Add Kar Sakte Ho Ek Din Me,
Agar Aapko Aur Account Add Karna Hai Tho Aapko Dusre Din Add Karna Padega,
Tho Is Tarah Se Aap BoB Net Banking Me Beneficiary Account Ko Add Kar Sakte Ho,
Ummed Karta Hu Ki Aapko Ye Information Kaam Aayegi, Agar Aapke Koi Sawal Ho Tho Niche Comments Me Post Kijiye, Me Jald Se Jald Aapke Comment Ka Jawab Dene Ki Koshish Karunga.